Aati Kya Khandala Lyrics – Ghulam – Hindi Movie Song

Aati Kya Khandala Lyrics : Sung by Aamir Khan and Alka Yagnik, While the lyrics is penned by Nitin raikar and Music by Jatin Lalit. Song from Hindi Movie Ghulam.



Aati Kya Khandala Lyrics 

Ay kya bolti tu
ay kya main boloon
sun, suna
aati kya khandala
kya karoon aake main khandala
arey ghoomenge, phirenge, naachenge, gaayenge
aish karenge aur kya

Aey, kya bolti tu
aey, kya mein bolun

Barsaat ka season hai
khandala jaake kya karna
barsaat ke season mein hi
to mazaa hai meri maina
bheegungi mein sardi
khaansi ho jayegi mujhko
chhata leke jayenge
paagal samjhi kya mujhko
kya karoon samajh mein aaye na
kya kahoon tujhse mein jaanu na
arey itna tu kyun soche
mein aage tu peeche
bas ab nikalte hain, aur kya

Aey, kya bolti tu
aey, kya mein bolun

Lonavle mein chikki khaenge
waterfall pe jayenge
khandala ke ghat ke upar
photu kheechke aaenge
haan bhi karta naa bhi karta
dil mera deewana
dil bhi sala party badle
kaisa hai jamana
phone laga tu apne dil ko jara
pooch le aakhir hai kya majra
arey pal mein phisalta hai
paal mein sambhalta hai
confuse karta hai, bas kya

Aey, kya bolti tu
aey, kya mein bolun
sun, suna,
aati kya khandala
kya,karoon, aake mein khandala,
arey ghoomenge, phirenge, naachenge, gaayenge
aish karenge aur kya

Aati-Kya-Khandala-Lyrics

Aati Kya Khandala Song Credits:-

Singers: Aamir Khan, Alka Yagnik
Music Director: Jatin Lalit
Lyricist: Nitin raikar

Leave a Comment

error: Content is protected !!