om jai jagdish lyrics is (Hindi: ॐ जय जगदीश हरे) is a Hindu religious song for the deity Vishnu, however it also considered to be a monotheistic song. Although the religious hymn is a Hindi-language composition, it is widely sung by Hindus. The prayer is sung by the entire congregation at the time of Aarti, a form of Hindu worship.
om jai jagdish lyrics :-
Om Jai Jagadish Hare
Swami Jai Jagadish Hare
Bhakt Jano Ke Sankat
Daas Jano Ke Sankat
Kshan Men Door Kare
Om Jai Jagadish Hare
Jo Dhyaave Phal Paave
Dukh Bin Se Man Kaa
Swami Dukh Bin Se Man Kaa
Sukh Sampati Ghar Ave
Sukh Sampati Ghar Ave
Kasht Mite Tan Kaa
Om Jai Jagadish Hare
Maat Pita Tum Mere
Sharan Kahoon Kiski
Swami Sharan Kahoon Kiski
Tum Bin Aur Na Dooja
Tum Bin Aur Na Dooja
Aas Karoon Jiski
Om Jai Jagadish Hare
Tum Pooran Paramatma
Tum Antaryami
Swami Tum Antaryami
Paar Brahm Parameshwar
Paar Brahm Parameshwar
Tum Sabke Swami
Om Jai Jagadish Hare
Tum Karuna Ke Saagar
Tum Paalan Karta
Swami Tum Paalan Karta
Main Moorakh Khalakhami
Main Sevak Tum Swami
Kripa Karo Bharta
Om Jai Jagadish Hare
Tum Ho Ek Agochar
Sab Ke Praan Pati
Swami Sab Ke Praan Pati
Kis Vidhi Miloon Dayamaya
Kis Vidhi Miloon Dayamaya
Tum Ko Main Kumati
Om Jai Jagdish Hare
Deen Bandhu Dukh Harta
Thaakur Tum Mere
Swaami Rakhshak Tum Mere
Apne Haath Uthao
Apni Sharan Lagao
Dwaar Padha Tere
Om Jai Jagadish Hare
Vishay Vikaar Mitaao
Paap Haro Deva
Swami Paap Haro Deva
Shradha Bhakti Badhao
Shradha Bhakti Badhao
Santan Ki Seva
Om Jai Jagadish Hare
Om Jai Jagadish Hare
Swami Jai Jagadish Hare
Bhakt Jano Ke Sankat
Daas Jano Ke Sankat
Kshan Men Door Kare
Om Jai Jagadish Hare
om jai jagdish lyrics video song ⬇️
Video Source T-Series